There are no items in your cart
Add More
Add More
Item Details | Price |
---|
Learn from Zero to Job-Ready, Taught by an IIT Delhi Graduate and Working Data Scientist
🚀 Limited Time Special: Use FIRST15 Code and Unlock This Course for Just ₹3825/- Act Quickly! 💥
star star star star star_half | 4.8 (29 ratings) |
Instructor: Krish Singh, Data Scientist (IIT Delhi)
Language: Hindi
Validity Period: 2000 days
200 Skillsiya Coin as Cashback
Become a high-paying AI-enabled Data Analyst by mastering industry secrets with Krish, an IIT Delhi graduate (Data Scientist) with 4+ years of experience.
Gain hands-on experience with 12+ Industry real-time data projects. This 90 Days Complete Data Analyst Course in Hindi | 90 Days Job Ready BootCamp covers job assistance, interview preparation, and job profile guidance.
Broucher: Download
Demo Video: Click on the Preview Button to Watch Demo
You will get
World Economic Forum ki Future of Jobs Report 2025 ke according, Data Analysts aur Data Science related jobs ki demand 2030 tak bohot zyada badhne wali hai.
🔹 170 million+ nai jobs create hongi, jisme Data Analytics, AI, aur Big Data professionals ki demand sabse zyada hogi.
🔹 2025 ke baad companies ko skilled Data Analysts ki bohot zaroorat padegi, kyunki data-driven decision making har industry me important hota ja raha hai.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------------------------
Q1: Kya Skillsiya me 24/7 customer support available hai?
Customer support aapko 9AM-5PM milega. Baaki aap course discussion forum me 24x7 koi bhi doubt puchh sakte ho, jahan instructors aapko jald se jald reply denge.
Q2: Kya ye course beginners ke liye suitable hai?
Haan, ye course bilkul beginner-friendly hai. Aapko scratch se sikhaya jayega aur advanced level tak cover kiya gaya hai. Ye full practical course hai, jisme aap ek real working data scientist ke through seekhenge. Agar aapko data analytics ke bare me zero knowledge hai, to bhi aap ye course kar sakte ho.
Q3: Kya is course me real company projects included hai?
Haan, is course me aapko 4 different industries—health, agriculture, e-commerce, aur finance sector ke real company projects karaye jayenge.
Q4: Kya IT experience ke bina beginners bhi ye course kar sakte hain?
Haan, is course ke liye IT experience ki zarurat nahi hai. Koi bhi beginner is course ko kar sakta hai.
Q5: Course complete karne ke baad career prospects kya hain?
Agar aap data analytics skills sikh lete hain, to aapko market me ek achhi 4-6 LPA ki starting salary wali fresher job mil sakti hai. Hum kewal job assistance provide karte hain, jisme resume building, interview preparation, LinkedIn profile optimization, job search techniques, aur forage website ke through free virtual internships dilayi jati hain. Ye job assistance aapke liye prayapt hai khud se job search karne aur interview crack karne ke liye.
Q6: Kya ye ek live course hai?
Nahi, ye ek self-paced recorded course hai. Jaise hi aap enroll karoge, aapko turant course ka access mil jayega, aur aap apne time aur speed ke hisaab se sikhna start kar sakte ho. Is course ka access agle 5 saal tak aapke pass rahega. Har class ke sath aapko notes, assignments, practice codes aur solutions milenge. Agar koi doubt ho, toh aap course discussion forum me apne sawaal puchh sakte ho, jaha instructors personally aapko jaldi reply karenge.
Q7: Kya Data Analytics ki jobs future me ChatGPT ya AI replace kar degi?
Nahi, ChatGPT aur doosre AI tools data analysts ko replace nahi karenge. Companies me jo data analyze kiya jata hai, wo millions ya billions ke data sets aur parameters hote hain, jinka sahi tareeke se collection aur processing karna ChatGPT ke bas ki baat nahi hai. Data companies ke liye bahut important hota hai, aur chhoti si mistake bhi badi financial loss ka reason ban sakti hai. Isi liye, companies hamesha skilled human data analysts ko hire karti rahengi.
Data analytics ek dynamic field hai, aur AI tools aapki productivity badhane me helpful hote hain, lekin human intuition aur critical thinking abhi bhi AI se better hai. Data analysis me decision-making aur problem-solving AI se zyada human skill par depend karta hai.
AI repetitive tasks jaise data cleaning aur querying ko automate kar sakta hai, lekin human analysts complex aur creative tasks ke liye zaroori hain, jaise data se insights nikalna, business recommendations dena, aur storytelling karna. AI ko Excel jaise tool ki tarah dekha ja sakta hai, jo productivity badhata hai, lekin human intuition aur critical thinking ko replace nahi kar sakta. Data analysis me problem-solving aur business context samajhna human skills par depend karta hai. AI tools ke sath collaboration se ye field aur bhi valuable aur interesting bani rahegi.
Q8: Course complete karne ke baad Skillsiya ke alawa IBM ka certification bhi free me milega kya?
Jab aap ye course complete karoge, to aapko Skillsiya ka certificate to milega hi. Saath me Cognitiveclass.ai website pe "Python for Data Analysis" ka ek free certification bhi available hai. Lekin, ye certification pane ke liye aapko ek exam dena hota hai. Is course ke sabhi students ko ek 1-hour ka special video diya jayega jo aapko is certification ko easily pane ke liye help karega.
Us video ke instructions aur guidance ko follow karke, aap IBM ka ye Data Analysis certification asaani se download kar sakte ho. Ye certification aapke resume ke liye bahut important hoga, aur aapki skills ko aur bhi strong banayega.
Q9: Kya is course ko complete karne ke baad hame virtual internship bhi karne ka mauka milega?
Haan, The Forage ek aisi website hai jahan se aap Data Analyst ke liye kai top brands ki virtual internships free mein kar sakte ho aur apni skills ko practice kar sakte ho. In virtual internships ke through aapko valuable certificates milenge, jo Accenture, Tata, British Airways, Quantum, PwC jaise brands ki taraf se honge. Ye certificates aapke resume ko aur bhi zyada attractive banayenge aur job pane me madad karenge. Bahut se students ko in internships ke baare me pata nahi hota, lekin Skillsiya ke sabhi Data Analytics students ko in virtual internships ko paane ke liye ek complete guidance video di jayegi. Is video ki madad se aap aasani se internships kar sakte ho aur valuable experience gain kar sakte ho.
Q: What is Skillsiya Coin? After purchasing this course, what can I do with the ₹200 coin cashback?
A: Skillsiya Coins can be used to purchase courses on Skillsiya. Each coin has a value of ₹1. With 200 coins, you can buy a course worth ₹200 or use these coins to reduce the price of any course.
Q: Skillsiya Job Assistance me mujhe kya milega?
A: Skillsiya Job Assistance ke through aapko yeh sab milega:
Yeh benefits sirf un learners ke liye available hote hain jo yeh criteria meet karte hain: